Top

Yeh kambakht waqt hi hai

Yeh kambakht waqt hi hai

Woh saath thi tab udd sa gaya,

Bin uske maano thamm sa gaya,

Dard bhi de gaya aur yaadein bhi,

Kuch kaam mein tha toh beh sa gaya,

Kisike jaane ka ghaav bharr gaya,

Toh kisi ke aane ki aas badhaata gaya,

Kisi se alvida nahi kar paaye,

Aise sitam kar gaya,

Koi anjaan tha,

Woh humsafar bann gaya,

Ek pal mein zakhm de gaya,

Aur bhulaane mein zamaane le gaya,

 

 

Yeh kambakht waqt hi hai,

Jisse mai samajhne ki koshish karta raha,

Aur usi ke saath mai bhi guzarta gaya.

No Comments

Post a Comment