Yaad aata hai.

Yun jo mai kabhi akela hota hu,
Toh ek khayaal aata hai..
Woh koi ek dost tha kabhi,
Woh kaafi yaad aata hai.
Zyada waqt naseeb nahi hua humaari dosti ko,
Parr jo hua woh dil ko aaj bhi bhaata hai,
Koi dhun jo bajj jaaye,
Toh woh dost yaad aata hai.
Kya sahi kya galat,
Ab kisne rakha khaata hai..
Kaash phir ek baar milke gale laga saku usse,
Kyuki woh kaafi yaad aata hai.
Ek jhaunka jo kisi din aaye,
Uski kuch meethi baatein saath laata hai..
Waqt ko manzoor nahi thi humaari bandagi,
Parr aaj bhi woh yaad aata hai.