Top

Sab shor hai yaha

Sab shor hai yaha

Sab shor hai yaha,

Sab khoye hai iss bheed mein,

Saath hai koi, phir bhi tu akela hai..

Sach kehta hu, yeh sab ek mela hai.

 

Hassee sabhi ke chehre parr hai,

Parr kuch darr aur maayusi bhi hai,

Naya nahi kuch, roz ka khela hai,

Dost, yeh toh sab ek mela hai.

 

Upar jaake neeche aana hi hai,

Raaste mein geet gungunana hi hai,

Harr zaroorat ke liye ek thela hai..

Yaad rakhna tum, yeh sab ek mela hai.

 

Sab anjaan hai yaha,

Bass do pal ki pehchaan hai,

Koi maalik hai toh koi chela hai..

Bura mat maano baat ka, yeh sab sirf ek mela hai.

No Comments

Post a Comment